Famous dialouges from movie "BajiRao Mastani"

Yodha Hun,
Thokar Pathar Se Lage Tabhi Haath Talvar Par Hi Jata Hai
Contributed by - Mastan

Tujhe Yaad Kar Liya Hai Aayat Ki Tarah,
Ab Tera Zikar Hoga Ibadat Ki Tarah.
Contributed by - Mastani

Sidha Hamla Karo Jaise Kismat Karti Hai.
Contributed by - Bajirao

Sahi Rakha Hai Aapka Naam Mastani...
Apni Hi Masti Mein Rehne Wali.
Contributed by - Bajirao

Patni Toh Radha Bhi Nahi Thi Lekin Naam Krishna Ka Unhi Ke Saath Liya Jaata Tha.
Contributed by - Mastani

Nishana Chooka Nahi Hai Bas Rishta Beech Mein Aa Gaya.
Contributed by - Bajirao

Lagaam Dikhti Nahi Hai, Par Zubaan Per Honi Chahiye
Contributed by - Bajirao

Kiski Talvar Par Sir Rakhu Yeh Bata Do Mujhe,
Ishq Karna Agar Khata Hai Toh Saza Do Mujhe.
Contributed by - Mastani

Jung Mein Khone Wale Phir Bhi Mil Jaate Hai,
Apne Angaan Mein Khone Wale Milte Nahi Hai.
Contributed by - Bajirao

Jab Deewaron Se Zyaada Doori Dilon Mein Ho Jaye Toh Chath Nahi Tikti.
Contributed by - Bajirao

Ishq, Jo Tufani Duniya Se Bagawat Karjaye Woh Ishq,
Bharay Darbar Mein Jo Duniya Se Lad Jaae Woh Ishq,
Jo Mehboob Ko Dekhe Toh Khuda Ko Bhul Jaae Woh Ishq.
Contributed by - Mastani

Hum Janam Se Brahmin Hai Karam Se Kshatriya.
Contributed by - Bajirao

Heere Mein Heera Ho Toh Use Kehte Hain Kohinoor,
Rao Ka Naam Lete Hi Kaashi Ke Chehre Pe Aata Hai Noor.
Contributed by - Kaashi

Duniya Hum Dono Ko Ek Hi Naam Se Yaad Rakhegi BAJIRAO MASTANI.
Contributed by - Bajirao

Cheeteh Ki Chaal, Baaz Ki Nazar Aur Baaji Rao Ki Talvar Par Sandeh Nahi Karte, Kabhi Bhi Maat De Sakti Hai.
Contributed by - Bajirao

Bajirao: Humare Dil Ek Saath Dhadakte Hai Mastani
Mastani: Aur Ek Saath Rukte Bhi Hai
Contributed by - Bajirao

Bajirao Ki Raftaar Hi Bajirao Ki Pehchan Hai.
Contributed by - Bajirao

Baajirao Ne Mastani Se Mohabbat Ki Hai Aiyashi Nahi.
Contributed by - Bajirao

Agar Humne Unhe Jaate Hue Dekh Liya Toh Humaari Jaan Hi Chali Jaayegi.
Contributed by - Mastani

Aap Humse Humari Zindagi Maang Lete Hum Aap Ko Khushi Khushi De Dete,
Par Aapne Toh Humse Humara Guroor Cheen Liya.
Contributed by - Kaashi

Aandhi Roke Toh Hum Toofan,
Toofan Roke Toh Hum Aag Ka Dariya,
Yeh Shapath Hai Bajirao Balaal Ki...
Har Har Mahadev
Contributed by - Bajirao

Post a Comment

0 Comments