Dil buri tarah se dhadakta raha | Rahat Indori

Ghazal - 1976 By Rahat Indori

Dil buri tarah se dhadakta raha, 
Wo baraabar mujhe hi takta raha..

Roshni saari raat kam naa huyi, 
Taara palko.n pe ek chamakta raha…

Chhu gaya jab kabhi khayaal tera, 
Dil mera der tak dhadakta raha…

Kal tera zikr chhid gaya ghar mai, 
Aur ghar der tak mehakta raha…

Raat hum maiqade mai jaa nikle, 
Ghar ka ghar shahar mai bhatakta raha…

Uske dil mai to koi mel na thha, 
Mai.n khuda jaane kyu.n jhijhakta raha…

Mutthiyaa.n meri sakht hoti gayi.n 
Jitna daaman koi jhatakta raha….

from Bhopali - भोपाली 
http://ift.tt/1WJzGrS via IFTTT

Post a Comment

0 Comments