Sochta Hoon Ke wo Kitne Masoom Thay | Lyrics





Roothna mera kaargar na hua
Yaar mere jatan ko jaan gaya
Jab wo aaya mujhe manane ko 
main badi saadgi se maan gaya

Tumhare pyar ka dam bhar raha hoon
Badi paakidagi se marr raha hoon
Mujhe tumse garaz kuch nahi hai
Fakat tumse mohabbat kar raha hoon

Achchi Surat ko sawarne ki zarurat kya hai
Saadgi mein bhi kayamat ki ada hoti hai
Tum Jo aa jate ho masjid mein ada Karne namaaz 
Tumko maloom hai kitnon ke kaza hoti hai

Aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya
Apne ujde hue daman ko Bahut yaad kiya
Jab kabhi gardish e taqdeer ne ghera hai humein
Gaisu e yaar ki uljhan ko Bahut yaad kiya

Aaj toote hue sapnon ki Bahut yaad aayi
aaj beete hue sawan ko Bahut yaad kiya

Sochta hoon ke woh kitne masoom the 
Kya se kya ho Gaye dekhte dekhte

Maine patthar se jinko banaya sanam
Wo khuda ho gaye dekhte dekhte

Mere haathon se tarashe hue patthar ke sanam
Mere hi saamne bhagwan bane baithe hain

Jin pattharon ko humne ata ki thi dhadkane
Wo bolne lage to humhi par baras pade

Hashar hai wahshat e dil ki aawargi
Humse poocho mohabbat ki deewangi
Jo pata poochte the kisi ka kabhi 
La pata ho gaye dekhte dekhte 

aap yaadon mein hain aap khwabon mein hain
Aap sanson mein hain aap aankhon mein hain

Ab to rah e mohabbat mein hum aapka 
Aina ho gaye dekhte dekhte 

Humse ye Soch kar koi wada karo...

Din chup gaya suraj ka kahin naam Nahin hai
O wada shikan ab bhi Teri shaam nahi hai

Tumhara aana na aana 
tamanna ka hai mar jana

Kab aaoge jab aoge
Kya banke qayamat ka sabab aaoge
Chayi hai ghata Aur barasti hai sharaab
Ab bhi nahi aaye to kab aaoge

Dil pe chot lagti hai unke muskarane se
Ho sake to ab jao kisi bahane se

Tera zulm nahin hai shamil gar meri Barbadi mein 
Teri ankhein kyon bheeg rahi hain mere afsane se

Aate ho tadapate ho jaate ho tadapate ho
Tera na aana hi behtar hai is aane jaane se

Humse ye Soch kar koi wada karo 
ek wade pe umarein guzar jayengi
Ye hai duniya yahan kitne aehle wafa 
Bewafa ho gaye dekhte dekhte

Gair ki baat 'Tasleem' kya kijie
Ab to Khud par bhi humko bharosa nahin
Apna saya samajhte the jinko kabhi
Wo juda ho gaye dekhte dekhte
-------

Post a Comment

0 Comments