Kabhi toh chauk ke dekhe koi humari taraf, kisi ki aankh mei humko bhi koi intezaar dikhe - Gulzar

Kabhi toh chauk ke dekhe koi humari taraf
kisi ki aankh mei humko bhi koi intezaar dikhe 

2.




Khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi thi
unki baat suni bhi humne apni baat sunayi bhi 

3.




Haath chute bhi toh rishte nahi choda karte
waqt ki saakh se lamhe nahi toda karte 

4.




Hum ne aksar tumhari raaho mei
ruk kar apna hi intezaar kiya 

5.




Dil agar hai toh dard bhi hoga
iss ka koi nahi hai hal shayad 

6.




Yaadon ki bosharon mei jab palkhe bheegne lagti hai
sondhi sondhi lagti hai tab mazi ki ruswayi bhi 

7.




Naam mera tha aur pata apne ghar ka
us ne mujh ko khat likhne ki koshish ki 

8.




Meri jaat par faqt itna ehsaan kar do
kisi din subh ko milo aur shaam kar do 

9.




Ay ishq...
Dil ki baat kahu toh bura toh nahi maanoge,
badi rahat ke din the teri pehchaan se pehle

10.




Chingari ik atak si gayi mere seene me
thoda sa aa ke phunk do udarta nahi dhuaa

Post a Comment

0 Comments