Chhoo Le Aasamaan Zameen Ki Talaash Na Kar
Jee Le Zindagi Khushi Ki Talaash Na Kar
Takadeer Badal Jaegi Khud Hi Mere Dost
Muskuraana Seekh Le Vajah Ki Talaash Na Kar
———
Mil Jati Hai Kitno Ko Khushi,
Mit Jate Hain Kitno Ke Gum,
Message Isliye Bhejte Hai Hum,
Taki Na Milne Se Bhi Apni Dosti Na Ho Kam.
———
Unake Dedaar Ke Lie Dil Tadapata Hai
Unake Intajaar Mein Dil Tarasata Hai
Kya Kahen Is Kambakht Dil Ko
Apana Ho Kar Kisi Aur Ke Lie Dhadakata Hai
———
Aye Dost Jara Sabhal Kar Chalana
Yaha Aise Bahut Log Milenge
Jo Sirph Waqt Gujaarane Kee Lie Milenge
Friendship Shayari, Dosti Shayari
———
Manzil Milne Se Dosti Bhulai Nahi Jati,
Hamsafar Milne Se Dosti Mitai Nahi Jati,
Dost Ki Kami Har Pal Raheti Hai,
Duriyo Se Dosti Chhupai Nahi Jati.
———
Dosti kisi ki riyasat nahi hoti,
maut kisi ki amanat nahi hoti,
sambhal kar rakhana hamari adalat mein kadam,
yahan dosti todne wale ki jamanat nahi hoti.
———
Nigaho pe dastak dene ko ek sapna aane wala hai,
Khabar mili hai wo sapana sach hone wala hai,
Hamane kaha hai ki unaki palkon pe jana kyonki,
Hamaara pyara sa dost abhi sone wala hai.
———
Dost teri dosti pe naaz karte hain,
Har waqt milne ki fariyaad karte hain,
Hame nahi pata gharwale batate hain,
Ki hum neend mei bhi aapse baat karte hain.
———
Dosti Bhi Kya Gazab Ki Cheez Hoti Hai,
Magar Ye Bhi Bahut Kam Logo Ko Naseeb Hoti Hai,
Jo Pakad Lete Hai Zindagi Me Daaman Iska,
Samaj Lo Ke Jannat Unke Bilkul Kareeb Hoti Hai.
———
Tum Banke Dost Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhen Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool Gaye.
———
Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gum chupakar muskurana padta hai,
kabhi ham bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yad dilana padta hai.
———
Dil Ki Baat Chhupana Aata Nahi,
Kisi Ka Dil Dukhana Aata Nahi,
Aap Sochte He Hum Bhul Gaye Aapko,
Par Kuchh Achhe Dosto Ko Bhulana Humko Aata Nahi
———
Najuk sa dil kabhi bhul se na tute,
Choti choti baato se aap na ruthe,
Thodi si bhi fikar hai agar aapko hamari,
To koshish karna ki ye dosti kabhi na tute.
———
Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gum chupakar muskurana padta hai,
kabhi ham bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yad dilana padta hai.
———
Tujhe dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.
———
Wada na karo agar tum nibha na sako,
Chaho na usko jise tum pa na sako,
Dost to duniya me bahot hote hai,
Par ek khas rakho jiske bina tum muskura na sako.
———
Dosti har chehre ki muskaan hoti hai,
dosti sukh-dukh ki pehchaan hoti hai,
koi rooth jaye to dil pe mat lena,
kyunki dosti zara si nadaan bhi hoti hai.
———
Muskurahat ka koi mol nahi hota
Kuch risto ka koi tol nahi hota
Log to mil jate hai har modh par ..
Har koi aap ki taraha anmol nahi hota.
———
Duao pe hamari aitabaar rakhana,
dil mein apne na koi saval rakhana,
dena chahate ho agar khushiya hamen,
to bas aap khush rahana aur apana khyaal rakhana.
———
Ae dost jab bhi tu udas hoga,
hamara khayal tere pas hoga,
dil ki gaheraiyon se jab bhi karoge yaad mujhe,
tumhe hamare kareeb hone ka ehsaas hoga,
———
Yakin nahi tujhe agar, to aajmaa ke dekh le,
ek baar tu, jara muskura ke dekh le
jo na socha hoga tune, wo milega tujhko bhi,
ek baar apne kadam, ko badha ke dekh le.
———
Ek Pehchan Hazaron Dost Bana Deti Hai
Ek Muskaan Hazaron Ghum Bhula Deti Hai
Zindagi Ke Safar Mein Sambhal Kar Chalna
Ek Galti Hazaron Sapne Jala Kar Rakh Deti Hai
———
Dost kabhi dosto se khafa nahi hote,
Mile dil kabhi juda nahi hote,
Bhula dena mere kamiyo ko kyunki,
Dost kabhi khuda nahi hote.
———
Dosti ka shukriya kuch is trah ada karu,
Aap bhul bhi jao to main yaad karu,
Dosti ne bas itna sikhaya hai muze
Ke khud se pahle apke liye dua karu.
———
Suna Hai Khuda Ke Darbar Se..
Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye..
Kuch to Vaapas Chale Gaye..
Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye.
———
Aapki hasi bahut pyaari lagti hai,
Aapki har khushi hamein hamari lagti hai,
Kabhi door na karna khud se humein,
Aapki dosti humein jaan se bhi pyaari lagti hai.
———
Milna bichdna sab kismat ka khel hai,
Kabhi nafrat to kabhi dilo ka mail hai,
Beek jata hai har rishta duniya me,
Sirf dosti hi yaha “NOT FOR SALE” hai.
———
Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai,
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai,
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh,
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.
———
Gunah Karke Saza Se Darte Hain,
Zahar Pee Ke Dawa Se Darte Hain,
Dushmano Ke Sitam Ka Khauff Nahi,
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain!
———
Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka,
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya,
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki,
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya.
———
Ise duniya mein dost kam milenge,
Ise duniya mein gam hi gam milenge,
Jaha duniya najar fer legi,
Use mode par tumhein hum milenge.
———
Aadat Alag Hai Hamari Duniya Walo Se,
Kam “Dost” Rakhte Hai
Magar
“Lajawab” Rakhte hai
Beshak Hamari Dosti Ki Mala Choti Hai..
Par Phool Us Main Sare “Gulab” Rakhte Hai.
———
Dil sapno se ‘HOUSEFULL’ hai..
Pura hona bhi ‘DOUTFULL’ hai..
Is duniya me har chiz ‘WONDERFULL’ hai..
Kyuki life tum jaise dosto se ‘COLOURFULL’ hai.. 😀
———
Chote Se Dil Ke Afsane Bahut Hai,
Zindagi Se Zyada Zakhm Bahut Hai,
Maar Dalti Kab Ki Ye Duniya Par..
Dosto Ki Duao Mai Asar Bhut Hai !!!
———
Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do
Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do
Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raaho Mein
Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do !!!
———
Fasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
Bichhad jayein jo kabhi aap se hum,
Aankhon mein hamesha hamara intejar rakhna.
———
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
Apki yadon ko seene se lagaya hai,
Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai,
Dost to hamne auron ko bhi banaya hai.
———
Hakeekat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno mere dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.
———
Tusi door gaye intzar kita,
Tusi kol aye pyar kita,
Tusi rus gaye razi kita,
Tusi yaad aye miss kita,
Jad miss kita SMS kita,
Ek gal daso sab kuch asi kita,
Tusi ki kita.
———
Dosti ki rahon mein kabhi akelapan na mile,
Aye dost zindagi mein tumhe kabhi gham na mile,
Dua karte hain hum khuda se,
Tuhme jo bhi dost mile hum se kam na mile.
———
Aapki aankhon mein milegi hamein panah,
Chahe samjho dil lagi ya samjho gunah,
Bhaley hi hamein koi deewana qarar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein fanaa.
———
Jisne chand ki roshni nahi dekhi.
Jisne phulon ki tazgi nahi dekhi.
Jo yeh kehte hain ke mitt jati hai dooriyon se dosti,
Usne shayad hamari dosti nahi dekhi.
———
Din beet jaate hain suhani yaadein bankar,
Baatein reh jaati hain kahani bankar,
Par dost to hamesha kareeb rahenge,
Kabhi muskaan to aankhon ka pani bankar.
———
Duaon mein shamil ho is tarah,
Phoolon mein hoti hai khushbu jis tarah.
Khuda aapki zindagi mein itni khushiyan de,
Dharti par hoti hai baarish jis tarah.
———
Hansee chhupana kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Milte hain log is tanha zindagi mein par,
Har koi dost tumsa payara nahi hota.
———
Dosti woh ehsas hai jo mit-ta nahi,
Dosti parwat hai woh jo jhukta nahi,
Iski keemat kya hai puchho humse,
Yeh woh anmol moti hai jo bikta nahi.
———
Dost shabd nahi jo mit jaaye,
Umra nahi jo dhal jaaye,
Safar nahi jo kat jaaye,
Yeh woh ehsaas hai,
Jiske liye jiya jaaye to.
Zindagi kam pad jaaye.
———
Woh yaad nahi karte,
Hum bhula nahi sakte.
Woh hansa nahi sakte,
Hum rula nahi sakte.
Dosti itni khoobsurat hai hamaari ki,
Woh bata nahi sakte,
Aur hum jata nahi sakte.
———
Khusboo ki tarah meri sanson mein rehna,
Lahu banke meri nas nas mein behna,
Dosti hoti hai rishton ka anmol gehna,
Isliye dost ko kabhi alvida na kehna.
———
Teri muskuraht meri pehchaan hai,
Teri khushi meri jaan hai,
Kuchh bhi nahi meri zindagi,
Bas itna samajh le ki tera dost hona meri shaan hai
———
Zindagi wo jo guzar jaye,
Ansoo wo jo beh jaye,
Khusi wo jo mil jaye,
Gam wo jo beet jaye,
Magar DOST Wo jo HUMESHA sath nibhaye.
———
Dua Karna Yaaro Judaa Ho Rahe Hain,
Rahi Zindagi Toh Fir Aakar Milenge,
Agar Mar Gaye Toh Dua Karte Rahna,
Aansu Bahaane Ki Koshish Na Karna.
———
Saath Chhod Doge Aap Hamara,
Aisa Toh Hamara Ikrar Nahi Tha,
Log Uthayein Hamari Dosti Par Ungali,
Aisa Toh Hamara Pyar Nahi Tha.
———
Sab Kuchh Milta Hai Duniya Mein,
Magar Ek Pyar Nahi Milta,
Dushman Toh Laakhon Milte Hain,
Magar Sachha Yaar Nahi Milta,
Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Fir Kabhi Bhi Dubara Nahi Silta.
———
Zikar Huaa Jab Khuda Ki Rehmaton Ka,
Hamne Khud Ko Khushnaseeb Paya,
Tamanna Thi Ek Pyare Se Dost Ki,
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya.
———
Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.
———
Maine Pani Me Ek Ka Sikka Dala
Aur God Se Ek Pyara Sa Dost Manga
Mujhe Aap Mil Gaye
Aur Upar Se Awaz Ayi
Ek Rupee Me Itna Hi Milta Hai
———
Hum Khud Hi Chhod Denge Teri Duniya Eh Dost,
Bas Do Char Sanso Ki Aur Ijajat De Do,
Bhale Karna Nafrat Magar Kuchhh Lamhon Ke Liye,
Mohabbat Ka Bharm Toh Rahe Itni Mohabbat De Do.
———
Phool Khile Hain Baagon Mein,
Fir Se Baharein Aayi Hain,
Mere Liye Kya Mayne Inke,
Yaar Ko Sang Na Layi Hain.
———
Tere Bol Lagte Hain Pyare Mujhko,
Tu Sabse Pyara Hai Hi Yaara,
Kin Achhe Karmon Se Mila Hai Tu,
Tera Sath Jeene Ka Sahara Hai.
———
Dekho Yaaro Hamein Aawaz Na Dena,
Hum Na Wapas Kabhi Aa Paayenge,
Us Din Manana Yaaro Id Tum,
Jab Hum Duniya Se Chale Jaayenge.
———
Na Dil Hota Na Lagate Yaaro,
Yeh Jeevan Hans Kar Bitate Yaaro,
Hansane Par Aa Jaate Hain Aansu,
Hamein Aise Toh Na Tadpaate Yaaro.
———
Meri Rooh Bhi Shayad Bhatkegi Duniya Mein,
Suna Hai Pyar Karne Waale Marte Nahi Kabhi,
Kya Karenge Ji Kar Hum Bin Yaar Ke Khuda,
Dekh Marne Se Bhi Dilwale Darte Nahi Kabhi.
———
Kisi Aur Ko Dosh Kyu Dete Ho,
Apni Mohabbat Mein Dam Hona Chahiye,
Bhale Kaisa Bhi Aaye Vakt Jeevan Mein,
Yaar Par Bharosa Na Kam Hona Chahiye.
———
Tu Jo Hai Saath To Hai Har Khushi,
Tere Saath Hi Hai Meri Yeh Zindagi,
Tera Saath Hai To Hai Sab Kuchh Mera,
Tere Bin To Yara Main Kuchh Bhi Nahi.
———
Dost ruthe to rab ruthe,
fir ruthe to jag chhute,
agar fir ruthe dil tute,
aur agar fir ruthe?
nikal danda..
maar sale ko jab tak danda na tute.
———
Chayi thandi ho gayi, garam kar lo,
Apne patthar se dil ko naram kar lo
Sham ho gyi hai fir bhi sms nhi kiya
Arre yaar thodi si toh sharam kar lo.
———
Teri ulfat ko kbhi naakam na hone denge,
Teri dosti ko kbhi badnam na hone dege,
Meri zindagi me sooraj nikale naa nikale,
Teri zindgi me kbhi sham na hone denge.
———
Diye to aandhi mein bhi jala karte hain,
Gulab to kaanto me hi khila karte hai,
Khush naseeb bohat hoti hai wo sham,
Dost aap jese zindgi me jab mila krte hai.
———
Khushiyon ka ek sansar leke aayenge,
Patjhad mein bhi bahaar leke aayenge,
Jab bhi pukar lenge aap dil se,
Jindgi se saanse udhar leke aayenge.
———
Agar yaad tumko na rahe apna janamdin,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,
Main kabhi na bhuloonga apne yaar ka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din,
Aapko zaroor mera yeh msg milega,
Jispe likha hoga mubarak ho aapko aapka jamdin.
———
Dost tu hai mera sabse nyara,
Tujhe mubarak ho tera janmdin yaara,
Mere bhi na nazar lage tujhe
Kabhi udaas na ho tere yeh chehra jo bada hai pyara.
———
Humne To Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,
Aap To Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Humko Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge.
———
Aise Hi Rakhna Mujhe Eh Mere Khuda,
Meri Dosti Sada Aise Hi Paak Rahe,
Hum Mar Bhi Jaaye Koi Gham Na Ho,
Marne Ke Baad Sada Doston Ko Yaad Rahe.
———
Eh Mere Dost Itna Khyal Rakhna,
Apne Dil Ko Aise Hi Paak Rakhna,
Kal Main Na Bhi Rahun Is Jahan Mein Agar,
Yeh Aarju Hai Aap Hamein Yaad Rakhna.
———
Chand Toh Aata Hai Roj Raaton Ko Magar,
Na Jaane Chandani Ko Kyun Saath Le Aata Hai,
Bahut Koshish Ki Use Bhulane Ki Magar,
Fir Bhi Jaane Kyun Woh Dost Bahut Yaad Aata Hai.
———
Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.
———
Bin Aapke Samjhta Hai Kon Yahan Mujhko,
Baad Aapke Sara Jahan Begana Sa Lagta Hai,
Kya Samjhega Tu Eh Dost Saatir Jahan Ko,
Yeh Sagar Khud Se Hi Anjana Sa Lagta Hai.
———
Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti.
———
Album to meri hai magar tasveer teri hai,
Aadhi khali hai aur aadhi bhari hai,
Teri tasveer khojta hun magar nahi milti,
Shayad aadhi ko jis ki talas hai,
Dost wo tasveer teri hai.
———
Jis ladki k chehre par aaj kal naqab hota hai,
Wo naqab ashiq k liye azab hota hai,
Mat marna naqab wali ladki pe mere dost,
Khubsurat packing me maal aksar kharab hota hai.
———
Aadhi raat ko sapna aa jaata hai,
Phir sona mushkil ho jaata hai,
Khuda ki kasam yaaro maine pyar nahi kiya,
Ye pyaar to apne aap hi ho jaata hai…
———
Dil me aap ki yaaden ne kar liya hai makaam,
Umar bhar aapki yaad rahegi paigham,
Aap ki is dosti ne kar diya hame ghulam,
Are jaathe jaathe usthaadon lelo hamari salaam.
———
Fir umido bhari SUBAH aayi hai,
SURAJ ko sath layi hai,
Hamari dosti ka ye asar to dekho,
Ki Hawaye bhi aapko
Good Morning
Kehne aayi hai.
———
Ae chand mere dost ko ek tohfa dena,
Taro ki mehfil sang roshni karna,
Chhupa lena andhere ko..
Har raat ke baad ek khubsurat savera dena.
———
Bahut khubsurat hote hai,
Wo pal jab koi dost saath hote hai,
Lekin usse bhi khubsurat hote hai,
Wo lamhe jab dur rahkar bhi wo humein yaad karte hai.
———
Dil me jage armano ko kabhi mita na dena,
Dekar hoto ko kabhi rula na dena,
Is baat ka bahana ki hum dur hai apse,
Kabhi apne is dost ko bhula na dena.
———
Muskurana hamesa kyuki main saath hun,
Samne na sahi ,
Par aas -paas hu,
Palko ko band karke dil se yaad krna ,
Main aur koi nahi dosti ka pyara ehsas hu.
———
Sawaal Paani Ka Nahin,
Pyaas Ka Hai,
Sawaal Maut Ka Nahin,
Saans Ka Hai,
Dost To Duniya Mein Bahut Hai Magar,
Sawaal Dosti Ka Nahin Pyaar Ka Hai.
———
Kise Bataye Tumhe Kitna Pyar Karte Hai,
Sochte Hai Kah De Par Kahne Se Darte Hai,
Kahi Dosti Ka Rista Tut Na Jaye Hamara,
Bas Isliye Ham Chup Raha Karte Hai.
———
Apke Pyar Ki Inayat Chahiye,
Dil Hai Beghar Usse Ek Ghar Chahiye,
Bas Yuhi Sath Chalte Raho E-Dost,
Ye Sath Hume Umar Bhar Chahiye.
———
Risto Ka Vishwas Tut Na Jaye,
Dosti Ka sath chhut Na Jaye,
Ae Khuda Galti Karne Se Pehle Mujhe Rok Lena,
Kahi Meri Galti Se ..
Mera Dost Ruth Na Jaye.
———
Muskurao aap tho phool khil jaaye,
Baaten karo tho dil machal jaaye,
Ithni dilkash hai aapki dosti,
Dost tho kya dushman bhi aapki dosti pe fida ho jaye.
———
Kabhi andhera to kabhi shaam hogi..
Meri har khushi apke naam hogi..
Kabhi kuch mang ke to dekho yaaro..
Honto pe hasi aur hateli pe jaan hogi.
———
Jaan ki baazi laga di juwari bankar,
Dil hateli par le aye pujari bankar,
Jis waqt dua k darwaaze khulenge.
A dost maang lenge tujhe khuda se bhikari bankar.
———
Dosti ki mehfil saje zamana ho gaya,
Lagta hai khul ke jiye zamana ho gaya,
Kash kahin mil jaye woh kafila DOSTO ka,
Apno se bichde zamana ho gaya..
———
Dekha hai humane bhi aajma kar,
De jate hai dhokha log karib aakar!
Kahati hai duniya magar dil nahi manta,
Kya aap bhi bhool jaoge hume apna Dost banakr!!
———
Kuchh Meethe pal Hamesa Yaad Aate Hai,
Palako Pe Aanshu Chhod Jate Hai|
Kal Koi Aur Mile To Hume Na Bhoolana,
Kyoki Dosti Ke Riste Jingbhar Kaam Aate Hai!!
0 Comments