[500+] Sad Poetry Two Liner Shayari Collection in 2020

Sad Poetry

Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna,
Aur mujhe ruswa kar diya tumne yunhi khailte khailte…!

तुम्हारी थी शरारत मेहँदी से हथेली पे नाम लिखना,
और मुझे रुस्वा कर दिया तुमने यूँही खेलते खेलते 

———

Sad Poetry In Hindi

Neend to Anay ko thi par Dil pichly kisy le betha
Ab khud ko be waqt sulany main kuch waqt lagay ga…!

नींद तो आने को थी पर दिल पिछले किस्से ले बैठा 
अब खुद को बे वक़्त सुलाने मैं कुछ वक़्त लगेगा 

———

Sad Poetry In Punjabi

Takseen-e-Mohabbat ke Faqat do hi Tareeqe thay,
Ya dil na Bana hota, Ya tum Na Bane Hote….!

तक्सीन-ए-मोहब्बत के फ़क़त दो ही तरीके थे 
या दिल न बना होता, या तुम न बने होते 
———
Sad Poetry on Love In Hindi

Kuch Kehne Ka Waqt Nahi Ye Kuch Na Kaho Khamosh Raho
Ae Log Khamosh Raho Han Ae Logo Khamosh Raho…!

———

Sad Poetry For Girlfriend

Sirf ehsaas-e-nidamat ik sajda or chasham tar
Ay khuda kitna asaan hai mnana tuj ko…!
———
Sad Love Poetry For Her

Teri Palkon main rukna hai raat bhar ke liye
Main to ik khwab hun, Subha ko chala jaon ga…!
———
Sad Poetry On Muhabbat

Kadam ruk se gaye hain aj phol bikte daik kar
Wo aksar muj se kehta tha “muhabat phol jesi hai..!

———

Sad Poetry On Life In Hindi

Ana Ki Mooj Masti mein Abhi Bhi Badshah hain Hum
Jo Hum ko Toor Deta hai, Hum Us ko Chorr Dete Hain..!

———

Sad Poetry On Zindagi

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi,
Ye Kia Nahi, Wo Hua Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi…!

———

Sad Poetry By Iqbal

Dhondta phirta hoon ay iqbal apnay ap ko
Ap hi goya musafar ap hi manzal hoon main

———

Sad Love Poetry In Hindi

Yad kar ke muje takleef hi hoti ho gi
Ik kissa hoon purana sa bhula de muj ko

———

Sad Poetry By Gulzar

Zahid shrab pene de masjid main beth kar
ya phir wo jaga bta jahan khuda nahi

———

Sad Poetry By Parveen Shakir

Kafar ke dis se aya hoon main ye dekh ke
Khuda mojud he wahan par usay pta nahi

———

Sad Poetry On Life In Hindi

Zindagi se ham kuch udhar nahi lete faraz
Kafan bi latey hain to zindagi day kar

———

Sad Poetry For Facebook

Mein Zamane Mein Faqat Is Liye Badnam Hun
Mujhe logon Ki Tarha Badalna Nahin Aata….

———

Sad Shayari For Her 

Is qadar toot ke tum peh hamain payar aata hai
Apni banhon main bharain mar hi dalain tum ko

———

Sad Poetry For Him

Main jab bi chahon usay choo ke dekh sakti hoon
Magar wo shakhs keh lagta hai ab bi khawab aisa…

———

Sad Poetry On Khawab

Bars sake to bars jaye is ghari warna
Bkhair dale gi badal ke saray khawab hawa

———

Sad poetry 

Jawab deta hoon main bi Kamal Aankhon se
Wo le ke ate hain jab bi sawal ankhon main

———

Sad Poetry About Love In Hindi

Tere jamal se ankhain haseen hain meri
Tere khayal se dil main chiragh jalte hain

———

Sad Poetry For Friends

Tumhen khabar hi nahin ke koi toot gaya
Muhabaton ko bahut payedar karte hoye

———

Sad Poetry By Faraz

Ae zindagi tu hi bta kese tuj se payar karon main
Teri har saans meri umar ghata deti hai

———

Sad Poetry For Girls

Tere qareeb bi reh kar tuje talash karon
Muhabtoon main meri bad hawasian na gayen

———

Sad Poetry In Punjabi

Ajeeb tarah se dono nakam hoye mohsin
Wo mujay chah na saka or main usay bhula na saka

———

Sad Love Poetry In Hindi

Tu Saamne Hai Tu Phir Kyn Yaqeen Nahi Aata
Ye Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

———

Tere Qol-o Qarar Se Pehle
Apne Kuch Aur Bhi Sahare Thay

———

Wafa Ka Ehad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye
Wo Hans Pare Muje Mushkil Mein Dalne Ke Liye

———

Yun Mere Sath Dafan Dil Be-Qarar Ho
Chota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho

———

Wo Raat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shayar Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak Tu Ham Ne Dekha Phir Na Jane Kidhr Gya Wo

———

Apni Tabhaion Ka Muje Koi Gham Nai
Tum Ne Kisi Ke Sath Mohabat Nibah Tu Di

———

Aya Hi Tha Abi Mere Lab Pe Wafa Ka Naam
Kuch Doston Ne Hath Mein Pathar Uta Liye

———

Jis Nagar Bi Jao Qissay Hain Kambakhat Dil Ke
Koi Le Ke Ro Raha Hai, Koi Dey Ke Ro Raha Hai

———

Itne Ghane Badal Ke Peche
Kitna Tanha Ho Ga Chand

———

Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzir Dekhe Lekin
Aankhen Pagal Ho Jati Hain Aik Khayal Se Pehle

———

Koi Ahat, Koi Awaz, Koi Chap Nahi
Dil Ki Galyan Bari Sunsan Hai Aye Koi

———

Kye Rog De Gayi Hai Naye Mosmon Ki Barish
Muje Yaad A Rahe Hain Muje Bhol Jane Wale

———

Wabasta Ho Gayi Thi Kuch Umeedain Aap Se
Umeedon Ka Chiragh Bujane K Shukria

———

Ki Wafa Ham Se Tu Ghair Is Ko Jafa Kehte Hain
Hoti Ayi Hai Ke Achon Ko Bura Kehte Hain

———

Dil Na Umeed Tu Nahi Nakaam Hi Tu Hai
Lambi Hai Gham Hi Shaam Magar Shaam Hi Tu Hai

———

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga
Main Dil Mein Ro’on Gi Aankhon Mein Muskraon Gi

———

Koi Bhi Lamha Kabhi Laut Kar Nahi Aya
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Laut Kar Nahi Aya
Humain Yaqeen Hai Nahi Hai Wo Wada Khilaf
Ye Umer Kese Katy Gi Agar Wo Nahi Aya…

———

Tum Ne Dekha Mehez Khamosh Mujhe Bahar Se
Mere Andar Ki Sub Cheekhen Tera Dil Phar Sakti Hain…

———

Ek Me Hun K Apne Zakham Chupaye Rakhta Hun
Ek Tum Ho K Muyassar Nahi Aty Hum Ko…

———

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khoon Wahan Ka
Ek Basti Jise Log Kashmir Kehte Hain…

———

Wafa Ki Jung Me Usko Mana Lete To Acha Tha
Anaa Ki Jung Me Aksar Judai Jeet Jati Hai…

———

Kaghaz Utty Leek Leek K Puthiyan Sidhiyan Leekan
Hor Dhiyaane Paiyan Hoiyan Main Andar Diyan Cheekan…

———

Tum To Us Dard Se Guzray Ho Na
Wo Rutt Jis Me Jal Jati Hain Ankhen…?

———

Hum Samaity Hain Dard Duniya Ka
Tum Se Hum Ek Nahi Sambhaly Gaye…?

———

Do Din Ki Khushi Umar Bhar Ka Rog
Wah Re Mohabbat Teri Sood Khoriyan…

———

Bohat Mazboot Rishte The
Bohat Kamzor Logon Se…

———

Tumhara Kya Bigara Tha, Jo Tum Ne Tor Hi Dala
Me Ye Tukray Nahi Lunga, Mujhe Tum Dil Bana Kar Do…

———

Humain Ata Hi Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna
Khud Hi Rote Hain, Tarapte Hain, Behel Jate Hain…

———

Tujh Se Karta Hun Mulaqat Simatnay K Liye
Tujh Se Milta Hun To Kuch Aur Bikhar Jata Hun…

———

Kon Jeeta Hai Zindagi Apni
Har Kisi Pe Koi Musallat Hai…

———

Bichar Gaya Hai Kahin Dar Badar Na Ho Jaye
Mere Khuda Usy Hifz-O-Amaan Me Rakhna..

———

Akhir Wo Aa Gaye Mujhe Dene Tasalliyan
Akhir Hua Nahi Mere Sadmaat Ka Yaqeen…

———

Mene Dekhe Hain Kayi Saal Naye Ate Hue
Mene Phainky Hain Kayi Saal Purany Kar K…

———

Sakoon De Na Saki Rahatain Zamany Ki
Jo Nend Ayi Tere Gham Ki Chaon Me Ayi…

———

Tujh Ko Nikal Kar Dekha Hai
Mere Andar Kuch Nahi Bachta…

———

Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi K Paas Aye
Khuda Kary Naya Saal Sub Ko Raas Aye…

———

Phir Naya Saal Nayi Subha Nayi Umeedain
Aye Khuda Khair Ki Khabron K Ujaly Rakhna…

———

Phir Naye Saal Ki Sarhad Pe Khary Hain Hum Log
Raakh Ho Jaega Ye Saal Bhi Hairat Kesi…?

———

Log Muntazir Rahe K Hum Ko Toot’ta Dekhen
Hum Zabt Karte Karte Pathar K Ho Gaye…

———

Tu Ne Ek Bar Jo Sardi K Sabab Orhi Thi
Mere Saman Me Wo Shawl Bohat Qeemti Hai…

———

Bichray To Ajab Pyar Jatata Hai Khaton Main
Mil Jaye To Phir Had Se Guzarny Nahi Deta…

———

Aisa Hai K Seeny Main Sulagti Hain Kharashain
Ab Sans Bhi Hum Lenge To Acha Na Karengy…

———

Tum Pe Beety Jo Qayamat Tanhai Ki
Tum Bhi Kehte Phiro Azab, Azab Hai Ishq…

———

Ye Teri Bhool Hai K Mil Jaye Gi Manzil Tujh Ko
Kis Ne Paya Hai Mohabbat Me Wafaon Ka Sila…

———

Koi Rafugari Kary Ga Meri?
Bharosa Kha Gya Jagah Jagah Se…

———

Suna Hai Bohat Sasta Hai Khon Wahan Ka
Aik Basti Jise Log Pakistan Kehte Hain…

———

Bohat Se Gham December Me December K Nahi Hote
Usy Bhi June Ka Gham Tha, Magar Roya December Me…

———

Me Kese Sard Hathon Se Tumhare Gaal Choota Tha
December Me Tumhe Meri Shararat Yaad Aye Gi…

———

Nazar Qatil Ada Qatil
Zuban Qatil Bayan Qatil
Bata Qatil Kahan Jaun
Jahan Jaun Wahan Qatil..

———

Tu Heery Ki Guriya Me Faqeer Ka Bacha
Tu Mujhe Chah Nahi Sakti Me Tujhe Paa Nahi Sakta…

———
Tu Mujhe Har Khushi K Moqa Par
Yaad Aa K Udaas Karta Hai…
———
Kis Qadar Hijr Jheel Sakti Hun
Mujh Pe Tehqeeq Kar Raha Hai Wo…
———
Kitna Roya Tha Teri Khatir Main
Ab Jo Sochun To Hansi Ati Hai…
———
Mujhse Chale Hain Khoon Chirakny K Silsilay
Main Dasht Me Bahaar Ka Pehla Safeer Tha…
———
Adhura Harf Hun Aur Dastan Ban’ne Ki Hasrat Hai
Magar Mujh Pe, Tawajjah Wo, Fasana-Gar Nahi Karta…
———

Wo Namazon Ki Paband Larki
Uski Ankhon Ne Chun Lia Kafir…

———

Sanu Khauf Nai Shakir Dushman Da
Sanu Yaar Di Yaari Kha Gai Ay…

———

Hum Gaye The Un Ko Manany K Liye
Wo Khafa Ache Lage Hum Ne Khafa Rehne Dia…

———

Jab Hui Maloom Asliyat Us Ki
Mujhe Apne Intakhab Pe Rona Aya…

———

November Ki Haseen Raten Zameen Par Jab Utarti Hain
Mere Chote Se Kamray Me Tere Iqrar Rote Hain…

———

Neend Ai Na Rat Bhar Mujh Ko
Khawab Bethe Rahe Qataron Me…

———

Rat Ko Uth Na Saka Darwazy Ki Dastak Par
Subha Bohat Roya Pairon K Nishan Dekh Kar…

———

Ab K Toota Hai To Kuch Chain Se Betha Hai Zara
Warna Is Dil Ne Dikhaye The Tamashy Kya Kya…

———

Main Hun Mujh Sa? Mujhe Nahin Lagta
Phir Tujhe Kiun Main Us Sa Lagta Hun?

———

Phir Palat Rahi Hain Sardiyon Ki Suhani Shamain
Phir Us Ki Yaad Me Jalne K Zamany Aye

———

Kabhi Kabhi To Wo Aise Rasai Deta Hai
Wo Sochta Hai To Mujh Ko Sunai Deta Hai…

———

Rung Khuleya Meri Wehshat Da, Ho Kathe Kuj Humdard Gaye
O Ro Ro Puchan Hal Mera, Me Khir Khir Hassaan Ki Dassaan…

———

Suna Hai Jan Lete Ho, Suno Ye Jan Deni Hai
Suna Hai Mar Dete Ho, Suno Me Marny Aya Hun…

———

Hooron Ki Tamanna Nahi Aye Hazrat-E-Waiz
Hum Taak Me Hain Jis Ki Wo Parda Nasheen Hai…

———

Apne Hathon Se Kar Dia Azad
Jis Parindy Me Jan Thi Meri…

———

Tum Se Na Kat Saky Ga Andheron Ka Ye Safar
Ab Sham Ho Rahi Hai Mera Hath Thaam Lo…

———

Har Shakhs Mujhe Soorat-E-Akhbar Samajh Kar
Safhaat Se Matlab Ki Khabar Kaat Raha Hai…

———

Chupky Se, Chup Chap Chali Jati Hain
Wo Khushiyan Jo Bohat Der Bad Ati Hain…

———

Kho K Pachtao Ge Har Lamha Ta-Umar
Hum Honge, Na Koi Hum Sa Hoga…

———

Wo Jo Mohabbat K Naam Se Na-Waqif Thi
Mumkin Hai K Wo Mohabbat Ka Ehtaram Karti…

———

Ajeeb Uljhan Me Tu Ne Dala Mujhe Bhi Aye Gardish-E-Zamana
Sukoon Milta Nahi Qafas Me Na Raas Ata Hai Aashiyana…

———

Us Bewafa Ko Kya Hai Zarurat Wafaon Ki
Jis Bewafa K Pas Wafadar Bohat Hon…

———

Kachi Umar Diyan Mohabbatan
Rog Pakky La Jandiyan Ne…

———

Ishq Hai K Izraeel Ye
Jan Lene Se Thakta Hi Nahi…

———

Shikway Gilon Ko Chor Kar Pehlu Me A Kar Beth
A Phir Naye Siry Se Mohabbat Shuru Karen…

———

Aik Hi Shakhs Pe Luta Dete Hain Jo Zindagi Apni
Aise Log Ab Kitabon Me Mila Karte Hain…

———

Wo Markazi Kirdar Hai Kahani Ka Lekin
Kehta Hai Kahani Me Mera Naam Na Aye…

———

Ek Mukhtasir Si Waja Hai Mere Jhuk Kar Milne Ki
Matti Se Bana Hun Gharoor Acha Nahi Lagta Mujh Par…

———

Mujh Ko Mujh Mein Jaga Nahi Milti
Tu Hai Mojood Is Qadar Mujh Mein…

———

Main Chup Raha To Or Galat Fehmiyaan Barhi
Wo Bhi Suna Hai Usne Jo Maine Kaha Nahi…

———

Hath Uljhy Hue Resham Mein Phansa Beithy Hain
Ab Bata Kon Se Dhagy Ko Juda Kis Se Krein…

———

Jab Sham Utarti Hai, Kya Dil Pe Guzarti Hai
Sahil Ne Bohat Pucha, Khamosh Raha Pani…

———

Ab To Be-Rang Ho Gaya Sab Kuch
Saat Rangon Ka Shehar Tha Mujh Mein…

———

Ghurbat Ne Sikha Di Hai Mere Bachon Ko Tehzeeb
Sehmay Hue Rehte Hain Shararat Nahi Karte…

———

Rooh Azad Ho, Majboor-E-Taqaza Na Rahe
Hai Tamanna K Mujhe Koi Tamanna Na Rahe…

———

Mil Gaya Hoga Koi Aur Usy
Lakhon Pary Hain Hum Se Behtar…

———

Jism Choony Se Mohabbat Nahi Hoti
Ishq Wo Jazba Hai Jise Eman Kehte Hain…

———

Gulab Sary Madham Dikhai Dete Hain
Nazar Jab Bhi Tere Chehry Ka Tawaf Karti Hai…

———

Ye Udaas Udaas Phirna Ye Kisi Se Bhi Na Milna
Yunhi Be-Sabab Nahi Hai Koi Saniha To Hoga…

———

Ye Dars Karbala Ka Hai
K Khof Bus Khuda Ka Hai…

———

Ankhon K Sahilon Pe Hai Ashkon Ka Ek Hajoom
Shayad Gham-E-Hussain Ka Mosam Qareeb Hai…

———

Jhukana Chaha Tha Jis Sar Ko Sham Walon Ne
Shikast Dekhiye Us Sar Ko Khud Utha K Chale…

———

Sajday To Sub Ne Kiye Tera Naya Andaz Hai
Tu Ne Wo Sajda Kiya Jis Par Khuda Ko Naz Hai…

———

Har Ankh Num Hoti Hai Muharram Me
Aansu Shia Ya Sunni Nahi Hote…

———

Ab Kisi Ko Nahi Rukhsat Karna
Laut’te Hi Nahi Chor K Jane Wale…

———

Log Dharte Hain Kaan Cheekhon Par
Hum Si Goongi Kitab Kon Parhe…

———

Roshni Bhar Gai Nigaahon Me
Ho Gaye Khawab Be-Iman Jana…

———

Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan
Meri Udaasiyan Hain Urooj Par…

———

Reza Reza Hua Wajood Mera
Mere Mohsin Ki Zarb-Kari Hai…

———

Hai Aks Mayassar Tera, Jis Simt Bhi Dekhun
Kya Har Koi Tum Sa Hai Ya Sara Jahan Tum Ho…

———

Cheen Kar Rung Hijr Ne Tere
Dil-Kashi Aur Bhi Barha Di Hai…

———

Tamam Naqsh-E-Tamanna Faraib The So The
Me Sary Naqsh-E-Tamanna Bigaar Dalunga…

———

Hum Kharabon Me Ek Khoobi Hai
Hum Musibat Me Kam Aty Hain…

———

Zindagi Hai Mukhtasir, Khawahishen Behisab Rakhti Hun
Jo Tanz Kare Mujh Pe, Faslay Darmiyan Rakhti Hun…

———

Kar K Kajal Se Dosti Ek Din
Main Bhi Utrunga Teri Ankhon Mein…

———

Hall Koi Hai To Bta Chara-Gar
Moat Tak Zindagi Ki Khawahish Hai…

———

Uski Adat Hai Mere Baal Bigary Rakhna
Uski Koshish Hai Kisi Or Ko Acha Na Lagu Main…

———

Kash Main Tere Nam Ka Nukta Hota
Tum Tum Na Rehte Agar Main Na Hota…

———

Aj Khud Ka Zameer He Sawal Kar Betha
Kaha Hai Wo Mohabbat Jis Pe Naaz Tha…

———

Aesa Nahi K Teri Jagha Koi Or Aa Gaya
Lekin Tera Maqam Bhi Tera Nahi Raha…

———

Karna Hai Qabool To Kar Khamiyon Samait
Warna Nawazish Ki Zarurat Nahi Mujhe…

———

Ye Khamoshi Jo Ab K Guftagu K Beech Thehri Hai
Yehi Ek Bat Sari Guftagu Me Sab Se Gehri Hai…

———

Wo Meri Akhri Sarhad Ho Jaise
Soch Jati He Nahi Us Se Agey…

———

Do Ghari Pyar Ki Karein Baten
Dil Jalany Ko Umar Sari Hai…

———

Dard To Roz Ka Tamasha Hai
Aaj Lekin Shadeed Hai Sain…

———

Mujh Ko Phir Chooriyon Ka Tohfa Do
Eid Phir Se Qareeb Aa Pohnchi…

———

Bus Jeeny K Layaq Na Chory Gi
Aur Kya Kar Le Gi Yaad Teri…

———

Ab To Har Hath Ka Pathar Humain Janta Hai
Umar Guzari Hai Tere Sheher Me Aty Jaty…

———

Tum Ab Tak Munafiq Dilon Me Rahi Ho
Mere Dil Ki Aab-O-Hawa Mukhtalif Hai…

———

Humne Samjha K Azmaish Hai
Waqt to Faisley Kiye Betha Tha…

———

Kab Tak Kisi K Sog Mein Royengy Beth Kar
Hum Khud Ko Kayi Baar Ye Samjha Kar Ro Pary…!!

———

Sabar Be-Misl Tha Himmat Thi Bla ki Meri
Par Teri Bat Thi Sehne Mein Zra Waqt Laga…

———

Koi Tadbeer Bhoolne Ki Nahi
Yaad Aney k So Bahane Hain…

———

Aik Duniya Ne Mujh Ko Chaha Hai
Aik He Shaks Hai Duniya Meri…

———

Tum To Khud Ansuon Me Bastey Ho
Tumhein Q Barishen Rulati Hain…

———

Teri Ankhen Kamaal Hain Sahib
Mujh Ko Misl-E-Sharab Lagti Hain…

———

Bat Jab Bhi Bigri Hai Lafzon Par Bigri Hai
Kash K Hum Be-Zabaan Hote…

———

Chup Rahe To Khoob Ache Rahe
Zara Jo Bole To Bad-Zabaan Thehre…

———

Tumhare Dairon Me Ek Umar Se Mehw-E-Gardish Hun
Mera Markaz Nahi Badla, Mera Mehwar Nahi Badla…

———

Usy Ishq Tha Meri Zaat Se
Mujhe Umar Bhar Ye Gumaan Raha…

———

Toot Kar Chubh Raha Hai Ankhon Main
Kaanch Ka Tha Mera Khawab Shayad…

———

Yaar To Dhoondte Rehte Hain Mere Aibon Ko
Tum Ho Dushman To Meri Bat Samajh Sakte Ho…

———

Jate Hue Ji Bhar K Usy Dekh To Loon
Aye Aankh! Theher Tujh Ko To Rony Ki Pari Hai…

———

Abhi Tak Paon Se Chimti Hain Zanjeerain Ghulami Ki
Din Aa Jata Hai Azaadi Ka Azaadi Nahi Aati…

———

Qabron Main Nahi Hum Ko Kitabon Main Utaro
Hum Log Mohabbat Ki Kahani Main Mary Hain…

———

Wo Nigahen Faqat Nigahen Nahi
Un Main Hayaat Hai Sahab…

———

Chalti Hi Ja Rahi Hai Ye Umar-E-Rawaan Ki Rail
Hum Ko Yahin Utarna Hai Zanjeer Kheenchiye…

———

Sar Pe Chadar Bhi Jo Hoti To Ura Deti Usy
Dil Se Chimta Hai Tera Ghum Kisi Deemak Ki Tarha…


Post a Comment

0 Comments