Ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi - Ghulam Ali



ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl ki aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

yeh dard ki tanhhaiyan yeh dasht ka veran safar 
hum log to uqtaa gaye apni suna aawargi

loagon bhala us shehar kaise jeyain hum 
jahan ho jurm tanha sochna lekin saza awargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi rait par main ne likha aawargi

kal ratt tanha chand ko dekha tha main ne khawab main
mohsin mujhay rass aye gi shayad sada aawargi

Post a Comment

0 Comments