Best four liners of dr. Kumar vishwas | collection | part 3

एक पर्वत सा मेरी उँगलियों पे ठहरा है

तेरी चुप्पी का सबब क्या है? इसे हल कर दे

ये फ़क़त लफ्ज़ हैं तो रोक दे रस्ता इन का

और अगर सच है तो फिर बात मुकम्मल कर दे


Ek Parvat sa meri ungaliyon pe tahara hai
Teri chuppi ka sabab kay hai ? ise hal kar de
Ye fakat lafz hai to rok de rasta in ka
Aur agar sach hai to phir baat muqmml kar de

*****
कोई कब तक महज सोचे,कोई कब तक महज गाए
ईलाही क्या ये मुमकिन है कि कुछ ऐसा भी हो जाऐ
मेरा मेहताब उसकी रात के आगोश मे पिघले

मैँ उसकी नीँद मेँ जागूँ वो मुझमे घुल के सो जाऐ


Koi kab tak mahaz soche, koi kab tak mahaz gaaye
Ilaahi kya ye mumkin hai ki kuchh aesa bhi ho jaaye
Mera mehtaab uski raat ke aagosh mein pighale
Main uski neend mein jaagoo.n wo mujhme ghul ke so jaaye

*****
तुम्हारे पास हूँ लेकिन जो दूरी है, समझता हूँ
तुम्हारे बिन मेरी हस्ती अधूरी है, समझता हूँ
तुम्हें मैं भूल जाऊँगा ये मुमकिन है नहीं लेकिन

तुम्हीं को भूलना सबसे जरूरी है, समझता हूँ


Tumhare paas hoo.n lekin jo duri hai, samjhta hoo.n
Tumhaare bin meri hasti adhoori hai, samjhta hoo.n
Tumhe.n main bhool jaaungaa ye mumkin hai nahi.n lekin
Tumhi ko bhoolna sabse jaroori samjhta hoo.n

*****
तुझ को गुरुर ए हुस्न है मुझ को सुरूर ए फ़न
दोनों को खुदपसंदगी की लत बुरी भी है
तुझ में छुपा के खुद को मैं रख दूँ मग़र मुझे

कुछ रख के भूल जाने की आदत बुरी भी है


Tujh ko guroor-e-husn hai mujh ko suroor-e-fan hai
Dono.n ko khudpasandgi ki lat buri bhii hai
Tujh mein chhupa ke khud ko main rakh doon magar mujhe
Kuchh rakh ke bhool jaane ki aadat buri bhi hai

*****
तुम्हारा ख़्वाब जैसे ग़म को अपनाने से डरता है
हमारी आखँ का आँसूं , ख़ुशी पाने से डरता है
अज़ब है लज़्ज़ते ग़म भी, जो मेरा दिल अभी कल तक़

तेरे जाने से डरता था वो अब आने से डरता है


Tumhara khwaab jaise gham ko apnaane se darta hai
Tumhari aankh ka aansoo.n khushi paane se darta hai
Ajab hai lazzate gham bhi, jo mera dil abhi kal tak
Tere jaane se darta tha wo ab aane se darta hai

*****
हर इक खोने में हर इक पाने में तेरी याद आती है
नमक आँखों में घुल जाने में तेरी याद आती है
तेरी अमृत भरी लहरों को क्या मालूम गंगा माँ

समंदर पार वीराने में तेरी याद आती है


Har ik khone mein har ik paane mein teri yaad aati hai
Namak aankho.n mein ghul jaane mein teri yaad aati hai
Teri amrat bhari laharo,n ko kya maaloom Gangan Maa
Samndar paar viraane mein teri yaad aati hai

*****
हमें मालूम है दो दिल जुदाई सह नहीं सकते
मगर रस्मे-वफ़ा ये है कि ये भी कह नहीं सकते
जरा कुछ देर तुम उन साहिलों कि चीख सुन भर लो

जो लहरों में तो डूबे हैं, मगर संग बह नहीं सकते


Hame maaloom hai do dil judaai sah nahi,n sakte
Magar rasme-wafa ye hai ki ye bhi kah nahi.n sakte
Zara kuchh der tum un saahillo.n ki cheekh sun bhar lo
Jo laharo.n mein to doobe hai, magar sang bah nahi.n sakte

*****
वो जो खुद में से कम निकलतें हैं
उनके ज़हनों में बम निकलतें हैं
आप में कौन-कौन रहता है ?

हम में तो सिर्फ हम निकलते हैं


Wo jo khud mein se kam nikalte.n hain
Unke zahno.n mein bam nikalte hain
Aap mein kaun kaun rahta hai ?
Hum mein to sirf hum nikalte hain

*****
अजब है कायदा दुनिया ए इश्क का मौला
फूल मुरझाये तब उस पर निखार आता है
अजीब बात है तबियत ख़राब है जब से

मुझ को तुम पे कुछ ज्यादा प्यार आता है


Ajab hai kaayda duniya-e-ishq ka Maula
Phool murjhaaye tab us par nikhaar aata hai
Ajeeb baat hai tabiyat khraab hai jab se
Mujh ko tum pe kuchh jyaada pyaar aata hai

*****

घर से निकला हूँ तो निकला है घर भी साथ मेरे

देखना ये है कि मंज़िल पे कौन पहुँचेगा ?

मेरी कश्ती में भँवर बाँध के दुनिया ख़ुश है

दुनिया देखेगी कि साहिल पे कौन पहुँचेगा


Ghar se nikala hoon to nikala hai ghar bhi saath mere
Dekhna ye hai ki manzil pe kaun pahunchega ?
Meri kashti mein bhawar baandh ke duniya khush hai
Duniya dekhegi ki saahil pe kaun pahunchega

Post a Comment

0 Comments