Dr. Kumar Vishwas | Collection | 2016


hume malum hai 2 dil judai seh nahi sakte,
magar rasme wafa ye hai ki ye bhi keh nahi sakte,
zara kuch der tum un sahilon ki chikh bhar sun lo
jo lehron main to dube hain magar sang beh nahi sakte

mile har jakham ko muskan se sina nahi aya,
amarta chahte the par garal pina nahi aya,
tumhari aur meri dastan main farak itna hai,
mujhe marna nahi aya tumhe jina nahi aya

jahan har din sisakna hai jahan har raat ka gana hai,
humari jindagi bhi kya tawayaf ka gharana hai,
bahut majbur hokar geet roti ke likhe maine,
tumhari yaad ka kya hai use to roz ana hai

saa to dhoop ke haatohn main bhi parcham nahi hota
khushi ke ghar main bolo kabhi kya gum nahi hota?
faqat ik aadmi ke waste jag chohdhne walon.
faqat ik aadmi se ye jamana kam nahi hota.

bataon kya mujhe aise saharon satya hai
nadi to kuch nahi boli kinaron ne satya hai
sada hi shul meri rah se khud hat gaye lekin
mujhe to har ghadi har pal baharon ne satya hai

mera pratiman aansun main bhigokar gadh liya hota
akinchan paon tab aage tumhara badh liya hota
meri aankhon main ankit samarpan ki richayen thi
unhe kuch arth mil jata jo tumne padh liya hota

koi khamosh hai itna bahanae bhul aya hon
kisi ke ek taraanum main taraane bhul aya hon
meri ab rah mat takna kabhi ea aasama walon
main ek chidiya ki aankon main udaane bhul aya hon

hume do pal surure ishq main madhonsh rehne do
jehen ki sidiyan utro ama ye josh rehne do
tumhi kehte the ye masle nazar suljhi to suljhenge
nazar ki baat hai to fir ye lab khamosh rehne do

abhi chalta hon raste ko main manjil maan lon kaise?
masiha dil ko apni zid ka qatil maan lon kaise?
tumhari yaad ke aadim andhere mujhko ghere hain
tumhare bin jo bite din unhe din maan lon kaise? 

dhari banana bahut saral hai kathin hai badal ho jana
sanjida hona main kya hai mushkil hai pagal ho jana
rang khelte hain sab lekin kitne log hain aise jo
sikh gaye hain fagun ki masti main fagun ho jana 

sab apne dil ke raja hain sabki koi raani hai
kabhi prakashit hi na ho par sabki koi kahani hai
bahut saral hai pata lagana kisne kitna dard saha
jiski jitni aankh hanse utni hi pir purani hai

is deewane pan ki low main dharti ambar chut gaya
aankhon main jo lehra tha woh aanchal pal bhar chut gaya
tut gayi baansuri aur hum bane dwarka dhish magar
apna gokul bisar gaya aur gaon gali ghar chut gaya

najar main shokhiyan lab par mohabbat ka tarana hai
meri ummid ki zad main abhi sara jamana hai
kai jeeten hain dil ke desh par malum hai mujh ko
sikandar hon mujhe ek roz khali hath jana hai

hume dil main basa kar apne ghar jayen to achha ho
humari baat sun len aur thehar jayen to achha ho
ye shaam jab najaron hi najaron main bita di hai
to kuch pal aur aankhon main gujar jayen to achha ho

kahin par jag liye tum bin kahin par so liye tum bin
bhari mehfil main bhi aqsar akele ho liye tum bin
ye pichle chand barason ki kamai sath hai apne
kabhi to hans liye tum bin kabhi to ro liye tum bin

har ek tutan udaasi ub awara hi hoti hai
isi awaragi se pyaar ki shuruat hoti hai
mere hansane ko usne bhi gunahon main gina jiske
har ek aansun ko maine yun sambhala jaise moti hai

main jisko yaad rakhta hon wahi bus bhul jata hai
jise bhi pyaar karta hon woh mujh se dur jata hai
ye kaisi sohraten mujh ko ata kar di mere maula
jise main dost kehta hon mujhe dushman batata hai

bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama
humare dil main koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak dub kar sunte the jo kissa mohobbat ka
main kisse ko haqiqat main badal baitha to hungama

kabhi koi jo khulkar hans liya do pal to hungama
koi khwabon main aakar bus liya do pal to hungama
main us se dur tha to shor tha sazish hai sazish hai
use bahon main khulkar kas liya do pal to hungama

jab aata hai jiwan main khayalaton ka hungama
ye zazbaaton mulakaton hasin raaton ka hungama
jawani ke kayamat daur main ye sochate hain sab
ye hungamon ko baaten hain ya hai baaton ka hungama

kalam ko khoon main apni dubota hon to hungama
gireban apna aansun main bhigota hon to hungama
jo mujh par bhi nahi khud ki khabar woh hai jamane par
main hansata hon to hungama main rota hon to hungama

ibarat se gunahon tak ki manjil main hai hunagam
jara si pi ke aaye bus to mehfil main hai hungama
kabhi bachpan jawani aur budhape main hai hungama
jehen main hai kabhi to fir kabhi dil main hai hungama

hue paida to dharti par hua abad hungama
jawani ko humari kar gaya barbad hungama
humare bhal par taqdeer ne ye likh diya jaise
humare samne hai aur humare baad hungama

Post a Comment

0 Comments