Meri Masoom Ferozi | Jaun Eliya

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda E Jaan...
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Muhabbat Ka Jawaab

Uss Kay Andaaz E Nigaarish Sey Pareshaan Hoon Main
Wehshat Afza Hai Meray Wastay Asloob E Khitaab

Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees O Riwayaat Nahin Sun'na Theen

Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba E Kaamil Tum Mein
Mujhko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Theen

Tum Nay Likha Hai K Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab E Zam Zam Sey Kero Pur Na Jawaani Ka Ayaagh

Tum Ney Likha Hai K Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma E Kaaba Se Jalao Na Meri Shab Ka Chiraagh

Tum Ager Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likhoo
Bhai Kay Khat Bhi Chup Chup Kay Parha Kartay Hain?

Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao..
Bhai Ka Naam Bhi Sharmaa Kay Liya Kartay Hain?

Main Nay Samjha Tha MayNaab E Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhhayyul To Barri Mushkil Hai..

Aao Main Tumko Batlaaon Kay Muhabbat Kiya Hai..
Hasrat E Larzish E Bay Jaa Ka Mukammal Ehsaas

Mard O Aurat Mein Meri Hoor Teray Sir Ki Kasam
Rishta E Aadam O Hawwa Kay Siwa Kuch Bhi Nahin...

~ Jaun Eliya ~

Post a Comment

0 Comments