Ruthna bhi hai hasino ki ada me shaamil | Bhopali2Much

Dil ki aawaz me awaz milate rahiye
Jagte rahiye zamane ko jagate rahiye

Daulat-e-ishq nahi baandh ke rakhne ke liye
Is khazaane ko jahan tak ho lutaate rahiye

Zindagi bhi kisi mehboob se kuch kam to nahi
Pyaar he usse to fir naaz uthate rahiyeब

Zindagi dard ki tasveer na banne paaye
Bolte rahiye zara haste hasate rahiye

Ruthna bhi hai hasino ki ada me shaamil
Aap ka kaam manana hai, manate rahiye

Phool bikhrata hua me to chala jaaunga
Aap kante meri rahon me bichate rahiye

Bewafai ka zamana hai magar aap "hafiz"
Nagma-e-mehr-o-vafa sab ko sunaate rahiye.
posted from Bloggeroid