Haalat-e-haal ke sabab halat-e-hal hi gayi - Jaun Elia



Haalat-e-haal ke sabab halat-e-hal hi gayi
Shauq mein kuch na gaya shauq ki zindagi gai

Tere firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
Yaani tere firaq me khoob sharaab pee gayi

Tere visal ke liye apne kamal ke liye
Halat-e-dil ki thi kharab aur kharab kj gai

Us ki umeed-e-naz ka ham se ye maan tha ki aap
Umra guzaar dijiye, umra guzaar di gayi

Ek hi hadsaa to hai vo ye ki aaj tak
baat nahi kahi gayi baat nahi suni gayi

Baad mein tere jaan-e-dil main raha ajab saman
Yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gayi

Us ke badan ko di numud ham ne sukhan me aur fir
Us ke badan ke vaaste ek qaba bhi si gai

Mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
Naf piyale ki tere yaad ajab sahi gai

Kahin hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
Aapke shahr-e-vasl mein lazzat-e-hizr bhi gai

Sehna-e-khayal-e-yar main ki na baras shab-e-firaq
Jab se vo chaand na gaya jab se vo chandni gai..

- Jaun Elia

Post a Comment

0 Comments