Koi deewana kahta hai - Dr. Kumar Vishwas


Koi deewana kahta hai, koi pagal samajta hai
magar dharti ki baichani ko bas badal samajta hai
main tujse door kaisa hoon, tu mujse door kaisi hai
ye mera dil samajta hai ya tera dil samajta hai


mohabbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai
kabhi kabeera diwana tha, kabhi meera diwani hai
yaha sab log kahte hai meri aankhon main aansu hain
jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to pani hai

bahut bikhara bahut toota, thapede sah nahi paaya
hawaon ke ishaaron par magar main bah nahi paaya
adhoora ansuna hi rah gaya yuun pyaar ka kissa
kabhi tum sun nahi paayi, kabhi main kah nahi paaya

samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
ye aansu pyar ka moti hai isko kho nahi sakta
meri chahat ko dulhan too bana lena magar sunle
jo mera ho nahi paaya wo tera ho nahi sakta

brahmar koi kumudni par machal baitha to hungama
humaare dil main koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak doob kar sunte the sab kissa muhabbat ka
main kisse ko hakeekat main badal baitha to hungama


main jab bhi tej chalta hoon nazaare choot jaate hain
koi jab roop gadta hoon to saanche toot jaate hain
main rota hoon to aakar log kandha thap thaapate hain
main hansta to mujhse log aksar rooth jaate hain

main uska hoon wo ish ehsaas se inkaar karta hoon
bhari mehfil main bhi ruswa mujhe har baar karta hai
yakee hai saari duniya ko khafa hai hum se wo lekin
mujhe maalum hai fir bhi mujhi se pyaar karta hai

Jiski dhun par duniya naache, dil aisa ek taara hai
jo humko pyaara hai aur jo tumko bhi pyaara hai
jhoom rahi saari duniya jab ki humare geeton par
tab kahti ho pyaar hua hai kya ehsaan tumhara hai

jo dharti se ambar jode, uska naam mohabbat hai
jo seeshe se patthar tode, uska naam mohabbat hai
katra katra sagar to jaati hai har umar magar
behta dariya wapas mode uska naam mohabbat hai

badalne ko to in aankhon ke manjar kam nahi badle
tumhaare pyaar ke mausam, humaare gham nahi badle
tum agle janm main hum se milogi tab to manogi
jamaane aur sadi ki ish badal main hum nahi badle

koi khamosh hai itna, bahaane bhool aaya hoon
kisi ki ek tarannum main, taraane bhool aaya hoon
meri ab raah mat takna kabhi aye aasma waalon
main ek chidiya ki aankhon main udaane bhool aaya hoon

ye dil barbaad karke isme kyu aabaad rahte ho
koi kal kah raha tha tum allahbad rahte ho
ye kaisi shohrate mujko ata kar di mere maula
main sab kuch bhool jaata hoon magar tum yaad rahte ho

Panahon mein jo aaya ho,to us par war kya karna?
Jo dil hara hua ho,us pe phir adikar kya karna?
Muhbbat ka maza to dubne ki kashmkash mein hai,
Jo ho malum gahrai,to dariya par kya karna

mil gaya tha jo mukaddar wo kho ke nikala hoon
main ek lamha hoon, har baar ro ke nikala hoon
raahe duniya main mujhe koi bhi duswari nahi
main teri julf ke pechon se hoke nikala hoon

Nazar me shokhiyan , lab me muhabbat ka tarana hai…
Meri ummeed ki zad me abhi sara zamana hai…
Kai jeetein hain dil ke desh,par maloom hai mujhko…
Shikandar hun mujhe ek roj khali haath jana hai…”

“Sab apne dil ke raja hain, sabki apni rani hai…
Kabhi prakashit ho na ho, par sabki ek kahani hai,
Bahut saral hai pata lagana,kisne kitna dard saha…
Jiski jitni ankhein hase hai, utni peer purani hai…”

“Ibarat su gunahon tak ki manjil me hai hungama…
Jara si pi ke aaye bas to mehfil me hai hungama..
Kabhi bachpan,jawani aur budhape me hai hungama…
Jehun me hai kabhi to phir kabhi dil me hai hungama…”

Jab aata hai jeevan me, khayalaton ka hungama..
Ye jazbaaton,mulakaton, haseen raton ka hungama,
Jawani ki kayamat daur me ye sochte hain sab..
Ye hungama ki raatein hai,ya hai raaton ka hungama.

Abhi chalta hun, raste ko main manjil man lu kaise….
Maseeha dil ko apni jid ka katil man lu kaise…
Tumhari yaad ke aadim-andhere mujhko ghere hain…
Tumhare bin jo beete din,unhe din maan lu kaise.

Bataun kya, mujhe aise saharon ne sataya hai..
Nadi to kuch nhi boli…Kinaron ne sataya hai..
Sada hi shul meri raah se khud hut gaye lekin…
Mujhe to har ghadi har pal,baharon ne sataya hai.

Hamein malum hai do dil judayi seh nhi sakte…
Magar rasme wafa ye hai,ki ye bhi keh nhi sakte…
Jara kuch der tum un sahilon ki cheekh sun bhar lo.
Jo lehro me to dubein hai,magar sang beh nhi sakte…

Tumhare paas hun lekin jo duri hai samajhta hun…
Tumhare bin meri hasti adhuri hai, samajhta hun…
Tumhein main bhul jaaunga, ye mumkin hai nhi lekin…
Tumhi ko bhulna, sabse jaruri hai samajhta hun

Kabhi koi jo khulkar has liye do pal to hungama,
Koi khwabon me aakar bas liya do pal to hungama…
Main usse dur tha to shor tha sajish hai, sajish hai…
Use bahon me khulkar kas liya do pal to hungama.

Jahan har din sisakna hai, jahan har raat gana hai…
Hamari zindagi bhi ek tawayaf ka gharana hai…
Bahut majboor hokar geet roti ke likhe maine…
Tumhari yaad ka kya hai… Use to roj aana hai..

Hamein dil me basakar apne ghar jayein to achcha ho…
Hamari baat sun lein aur tehar jaayein to achcha ho…
Ye sari sham jab nazro hi nazro me bita di hai…
To kuch pal aur aankhon me, guzar jaayein to achcha ho..

Hamare sher sunkar bhi jo wo khamosh itna hai
Khuda jane gurur-a-husn me madhosh kitna hai…
Kisi pyale ne pucha hai, surahi se sabab mai ka…
Jo khud behosh hai wo khud kyabataye hosh kitna hai.

Ye urdu bajm hai, aur main to hindi maa ka zaaya hun…
Zubanien mulk ki behnein hai, ye paigam laya hun…
Mujhe dugni muhabbat se suno urdu zubaan walo…
Main apni maa ka beta hun, main ghar mausi ke aaya hun.

Mile har zakhm ko, muskan se sina nhi aaya…
Amarta chahte the par garal pina nhi aaya…
Tumhari aur meri daastan , mein fark itna hai…
Mujhe marna nhi aaya, tumhein jeena nhi aaya.

Sada to dhoop ke haaton me hi parcham nhi hota…
Khushi ke ghar me bhi bolo kabhi kya gam nhi hota
Fakat ek aadmi ke waste jag chchorne walon
Fakat us admi se ye zamana kam nhi hota…

Har ek dariya ke hoton par samandar ka tarana hai…
Yahan har fard ke aage, sada koi bahana hai…
Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai…
Tumhare aur mere bich me phir se zamana hai…

Kahin par jag liye tum bin,kahin par so liye tum bin…
Bhari mehfil me bhi aksar, akele ho liye tum bin…
Ye pichle kuch varsho ki, kamai saath hai apne…
Kabhi to has liye tum bin, kabhi phir ro liye tum bin..



Post a Comment

0 Comments